Friday, November 17, 2017

Need for De-religionisation

    Shri Munawwar Hussain of  Pakistan has insisted need for de-Religionization of their country for progress and improving living standards of the people.
          I have written on his wall like this :

Bharatbhai R Pandya Acp Are yar Islam aur Hinduism ko bhul jao, janta ka living standard upar uThaneka socho. Zara socho, Europe ne jab tarakki ki thi tab Religion ko nahi Science Technology ko aage badhaya tha. Pahle Catholics ne naye naye invention ka virodh kiya tha, lekin baad mein unhone socha ki aage baDhneke liye Science Technology ki hi zarurat paDegi, Religion usmein kuchh kaam nahi aayega. Vo to pahle se hi tha, fir bhi jindagi pichhaDi hui kyon bani hui thi ? Baad unhone science Technology ko kubul kiya aur sari duniya par haavi ho gaye, kyon ? Kyon ki dusre desh to Religion ko sine se lagaye huye baiThe the. ........ Aisa puchho to Reformation yani ki Rennaisance ki sharuat (   beginning  -  aagaz ) to Ismami desho se hui thi, lekin unhone use aage nahi baDhaya , Angrezo ne usmein apnaai tarakki ka rasta dekha aur Science Technology Musalmanose chhin kar unke hath mein talvar aur aapka dharmik pustak pakda diya, aur Islami Rajkartao talvar lekar jahan jagah mili vahan Islam ka prachar karne nikal paDe, Angrezone Religion ko pichhe chhoDa aur naya thinking apnaya, is ke karaN unhone sahitya, Economics, Psychology, Sociology, Industries, Mechanics, vagairah xetro mein tarakki kee. Varna Petrol to Musalmano ke desho mein hi tha, vahan Motor ya Aerroplanes kyon nahi bane ? Kyon ki thinking nahi thi aur jo thinking thi vo sab religion par kendrit ho gai thi. Hindostan pichhe kyon raha ? Kyon ki thinking karnewali janta subah sham dharm ke pustak sine se lagaye baiThe the, Yoga karte the, jismein ghanTo tak inactive ban kar susupt ( like dead person ) paDe rahte the, Unhone to Bhagwan ko bhi bas Tap karte dikhaya , Himalay par baiThe baiThe Bhawan bhi Tap karke vakt barbad karte the. Unko bhai Tapscharya ki kya zarurat thi ? Vo to khud Bhagwan the , fir bhi aisa hua aur Europe wale Samandar paar karke zahazo mein aa gaye aur Science Technology ka sahara le kar aap aur hamko ( yani hamare poorvajo ko ) gulam banate chale. Fir bhi ye moorkh logo ke dimag mein aisa khayal nahi aya, ki Bhagwanko to ham subah sham poojte hai, to ye Angrez ham par Raj karne Zahazo mein yahan tak kyon aa gaya aur koi Bhawan ne unke saare zahaz Dubo kyon nahi diye , kyon ki ve to koi dusre Bhagwan poojte the. . To yah baat hui thinking ki. Jahan tak apni thinking nahi badlegi, tarakki ke saare raste bandh rahenge............ Yahan kya ho raha hai ? Modi, RSS, BJP logo ki thinking ko hi rok rahe hai, taki unka dhyan apni pichhDi haalat par na jaye, aur Gaai aur Hindutva mein sab busy rahe, subah sham unki taiyar ki gai thali ( dish ) mein jo bhi kachra kuDa ve rakhte hai, vo khush ho kar khate rahe aur desh par BrahmaN,Vaishya Gyatioka samrajya kayam rahe.----------- Sorry for being too lengthy .

No comments:

Post a Comment