Thursday, April 13, 2017

GhamanD

RavaN keri lanka dekho
Dekho sone ka hathi,
Ramchandra ka laga sapaTa,
Ho gai tan ki maaTi re 
Manva mat kar tu Abhimaan
\
Ek vakt jab mein Smashan gaya, vaha ek lash jal rahi thi. Lash lane wale intzar karte baithe baithe thak gaye lagte the. Lekin kuchh bhi hua, lash ka sar jal nahi raha tha, vo to ham sab dekh rahe the. ( Musalman bhai yo ko ye baabat mein rahat hai ki aise nazare dekhne nahi milte ! ) To lash lane wale chita jalane waleko puchhne lage " are yaar kitni der lagegi ? " Uska jawab unke paas nahi tha, lekin vo labour ke paas tha. Usne uthaya jaDa sa DanDa aur lash ke sar par zor se faTka mara, khopri tuT gai, aur jalne lagi. Baad mein vo faTka marne wala majur bola, " Sala bahot ghamanDi aur abhimani hoga, akhir faTka kha kar gaya ! " Bhaiyo , aapke paas agar bahot paise ho, power ho, to yaa to aapko Kabrastan mein dhul ke niche dabna hai ya, smashan mein jalna hai., Lekin ghamanDi ki tarah faTka khaa kar mat pahunchna.

No comments:

Post a Comment